jaan jokhim se kiye sar jo marahil tu ne
jaan jokhim se kiye sar jo marāhil tū ne
do-qadam duur thī kyuuñ chhoḌ dī manzil tū ne
dekh kambaḳht mirī jaan pe ban aa.ī hai
zindagī kar diye pechīda masā.il tū ne
ye samundar to hai kam-zarf chhalak jaatā hai
kyā mujhe maan liyā us ke muqābil tū ne
terī fitrat jo darindoñ sī nazar aatī hai
kaun sā rañg kiyā ḳhuun meñ shāmil tū ne
phañs chukā hai tū usī jaal meñ ḳhud hī ab to
jo bichhāyā thā mujhe dekh ke ġhāfil tū ne
jaan jokhim se kiye sar jo marahil tu ne
do-qadam dur thi kyun chhoD di manzil tu ne
dekh kambaKHt meri jaan pe ban aai hai
zindagi kar diye pechida masail tu ne
ye samundar to hai kam-zarf chhalak jata hai
kya mujhe man liya us ke muqabil tu ne
teri fitrat jo darindon si nazar aati hai
kaun sa rang kiya KHun mein shamil tu ne
phans chuka hai tu usi jal mein KHud hi ab to
jo bichhaya tha mujhe dekh ke ghafil tu ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.