jaan ko KHatra kabhi iman ko
jaan ko ḳhatra kabhī īmān ko
koī samjhā.e dil-e-nādān ko
kyoñ kare jannat kī koī aarzū
zindagī pyārī hai har insān ko
bhuul jaao dostoñ kī be-ruḳhī
yaad rakkho ġhair ke ehsān ko
ham kisī qābil nahīñ is umr meñ
ab koī ḳhatra nahīñ īmān ko
itnī to 'parvāz' meñ taufīq hai
maat de saktā hai ye shaitān ko
jaan ko KHatra kabhi iman ko
koi samjhae dil-e-nadan ko
kyon kare jannat ki koi aarzu
zindagi pyari hai har insan ko
bhul jao doston ki be-ruKHi
yaad rakkho ghair ke ehsan ko
hum kisi qabil nahin is umr mein
ab koi KHatra nahin iman ko
itni to 'parwaz' mein taufiq hai
mat de sakta hai ye shaitan ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.