jaan mahdud hoti jati hai
jaan mahdūd hotī jaatī hai
maut maqsūd hotī jaatī hai
al-amāñ ilm kī farāvānī
fikr mafqūd hotī jaatī hai
kar lī islāh is tamaddun kī
sa.ī be-sūd hotī jaatī hai
ho safar ishq kā ki dānish kā
raah masdūd hotī jaatī hai
ḳhud-parastī kā daur-daura hai
zaat ma.abūd hotī jaatī hai
'dard' is ḳhalfashār-e-ālam meñ
ziist nābūd hotī jaatī hai
jaan mahdud hoti jati hai
maut maqsud hoti jati hai
al-aman ilm ki farawani
fikr mafqud hoti jati hai
kar li islah is tamaddun ki
sai be-sud hoti jati hai
ho safar ishq ka ki danish ka
rah masdud hoti jati hai
KHud-parasti ka daur-daura hai
zat mabud hoti jati hai
'dard' is KHalfashaar-e-alam mein
zist nabud hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.