jaan nikli na kabhi wasl ka arman nikla
jaan nikli na kabhi wasl ka arman nikla
Siraj Mir Khan Sahab Sahar
MORE BYSiraj Mir Khan Sahab Sahar
jaan niklī na kabhī vasl kā armāñ niklā
dard kā mere zamāne meñ na darmāñ niklā
vaqt paḌtā hai to ho jaate haiñ apne bhī raqīb
hijr meñ tār-e-nafas ruuh kā sohāñ niklā
dil ke nāloñ se haiñ dam band ḳhush-ilhānoñ ke
siina dāġhoñ se mirā rashk-e-gulistāñ niklā
jaan nikli na kabhi wasl ka arman nikla
dard ka mere zamane mein na darman nikla
waqt paDta hai to ho jate hain apne bhi raqib
hijr mein tar-e-nafas ruh ka sohan nikla
dil ke nalon se hain dam band KHush-ilhanon ke
sina daghon se mera rashk-e-gulistan nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.