Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaan qarz hai so utarte hain

Anjum Khayali

jaan qarz hai so utarte hain

Anjum Khayali

MORE BYAnjum Khayali

    jaañ qarz hai so utārte haiñ

    ham umr kahāñ guzārte haiñ

    shāmeñ haiñ vahī vahī haiñ sub.heñ

    guzre hue din guzārte haiñ

    is naam koī bhī nahīñ hai

    jis naam se ham pukārte haiñ

    ginte haiñ tamām raat taare

    ham raat yūñhī guzārte haiñ

    pichke hue gaal zard chehre

    jazbāt bahut ubhārte haiñ

    jaan qarz hai so utarte hain

    hum umr kahan guzarte hain

    shamen hain wahi wahi hain subhen

    guzre hue din guzarte hain

    is nam ka koi bhi nahin hai

    jis nam se hum pukarte hain

    ginte hain tamam raat tare

    hum raat yunhi guzarte hain

    pichke hue gal zard chehre

    jazbaat bahut ubhaarte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now