jaan rahe ya na rahe nam rahe
jaañ rahe yā na rahe naam rahe
sāthiyo rasm-e-junūñ aam rahe
bārhā sa.ī-e-talab kī ham ne
ye alag baat ki nākām rahe
azmat-e-ishq se nā-vāqif the
jo asīr-e-havas-e-ḳhām rahe
kyā ta.ajjub hai ki pīrān-e-haram
mar ke bhī tālib-e-asnām rahe
kyā ḳhabar hai ki yuuñ hī ai 'aḳhtar'
tā-ba-kai gardish-e-ayyām rahe
jaan rahe ya na rahe nam rahe
sathiyo rasm-e-junun aam rahe
barha sai-e-talab ki hum ne
ye alag baat ki nakaam rahe
azmat-e-ishq se na-waqif the
jo asir-e-hawas-e-KHam rahe
kya tajjub hai ki piran-e-haram
mar ke bhi talib-e-asnam rahe
kya KHabar hai ki yun hi ai 'aKHtar'
ta-ba-kai gardish-e-ayyam rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.