jaan se ishq aur jahan se gurez
jaan se ishq aur jahāñ se gurez
dostoñ ne kiyā kahāñ se gurez
ibtidā kī tere qasīde se
ab ye mushkil karūñ kahāñ se gurez
maiñ vahāñ huuñ jahāñ jahāñ tum ho
tum karoge kahāñ kahāñ se gurez
kar gayā mere tere qisse meñ
dāstāñ-go yahāñ vahāñ se gurez
jañg haarī na thī abhī ki 'farāz'
kar ga.e dost darmiyāñ se gurez
jaan se ishq aur jahan se gurez
doston ne kiya kahan se gurez
ibtida ki tere qaside se
ab ye mushkil karun kahan se gurez
main wahan hun jahan jahan tum ho
tum karoge kahan kahan se gurez
kar gaya mere tere qisse mein
dastan-go yahan wahan se gurez
jang haari na thi abhi ki 'faraaz'
kar gae dost darmiyan se gurez
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.