jaan si aa gai hai jaan mein kya
jaan sī aa ga.ī hai jaan meñ kyā
kah ga.e haiñ vo mere kaan meñ kyā
mujh se hāl-e-dil-e-tabāh na pūchh
ab hai ujḌe hue makān meñ kyā
merā har zaḳhm kyoñ mahaktā hai
phuul rakhte ho tum kamān meñ kyā
pūchhte haiñ mujhe dikhā ke shafaq
ḳhuun barsā hai āsmān meñ kyā
baat kahne se peshtar socho
tiir lauT aa.egā kamān meñ kyā
terā jalva hai aur kuchh bhī nahīñ
tū hī to hai bhare jahān meñ kyā
be-vafā us ko rū-ba-rū kahiye
paḌ ga.e qufl ab zabān meñ kyā
pyaar hoñToñ pe aur dil meñ fareb
kyā zabāñ par hai aur gumān meñ kyā
'ehtishām' ek lafz-e-ġham kī jagah
aur hai terī dāstān meñ kyā
jaan si aa gai hai jaan mein kya
kah gae hain wo mere kan mein kya
mujh se haal-e-dil-e-tabah na puchh
ab hai ujDe hue makan mein kya
mera har zaKHm kyon mahakta hai
phul rakhte ho tum kaman mein kya
puchhte hain mujhe dikha ke shafaq
KHun barsa hai aasman mein kya
baat kahne se peshtar socho
tir lauT aaega kaman mein kya
tera jalwa hai aur kuchh bhi nahin
tu hi to hai bhare jahan mein kya
be-wafa us ko ru-ba-ru kahiye
paD gae qufl ab zaban mein kya
pyar honTon pe aur dil mein fareb
kya zaban par hai aur guman mein kya
'ehtisham' ek lafz-e-gham ki jagah
aur hai teri dastan mein kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.