jaan tak kar di fida lekin sila kuchh bhi nahin
jaan tak kar dī fidā lekin sila kuchh bhī nahīñ
aap kī nazroñ meñ kyā merī vafā kuchh bhī nahīñ
chhīn liiñ ḳhushiyāñ mirī āñkhoñ se merī niiñd bhī
zindagī tū ne mujhe ab tak diyā kuchh bhī nahīñ
saiñkaḌoñ mujh par sitam kartā rahā vo umr-bhar
phir bhī maiñ ne aaj tak us se kahā kuchh bhī nahīñ
de rahe haiñ gāliyāñ yā phir duā.eñ mujh ko aap
kyā kahūñ ab aap se maiñ ne sunā kuchh bhī nahīñ
aap kī bātoñ meñ aa kar kho diyā dil kā sukūñ
zindagī meñ dekhiye merī bachā kuchh bhī nahīñ
jaan tak kar di fida lekin sila kuchh bhi nahin
aap ki nazron mein kya meri wafa kuchh bhi nahin
chhin lin KHushiyan meri aankhon se meri nind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diya kuchh bhi nahin
sainkaDon mujh par sitam karta raha wo umr-bhar
phir bhi main ne aaj tak us se kaha kuchh bhi nahin
de rahe hain galiyan ya phir duaen mujh ko aap
kya kahun ab aap se main ne suna kuchh bhi nahin
aap ki baaton mein aa kar kho diya dil ka sukun
zindagi mein dekhiye meri bacha kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.