jaana chaho to kis ne roka hai
jaanā chāho to kis ne rokā hai
bin mire jī sakoge achchhā hai
jab se us ne kahā ḳhudā-hāfiz
tab se sab kuchh dhuāñ dhuāñ sā hai
aap se dhaḌkanoñ kī raunaq hai
dil mujhe aap jaisā lagtā hai
tum nahīñ aa.e milne sāvan meñ
bārishoñ kā mizāj phīkā hai
ye to bas dil hī jāntā hai mirā
maiñ ne kis dil se tujh ko chhoḌā hai
kal huā thā guzar yahāñ us kā
shahr kā paanī kal se mīThā hai
mujh ko duniyā samajh meñ kyā aatī
ek hī shaḳhs ko jo sochā hai
ḳhud se bantī nahīñ kabhī 'iqrā'
jaane kis baat kā ye jhagḌā hai
jaana chaho to kis ne roka hai
bin mere ji sakoge achchha hai
jab se us ne kaha KHuda-hafiz
tab se sab kuchh dhuan dhuan sa hai
aap se dhaDkanon ki raunaq hai
dil mujhe aap jaisa lagta hai
tum nahin aae milne sawan mein
barishon ka mizaj phika hai
ye to bas dil hi jaanta hai mera
main ne kis dil se tujh ko chhoDa hai
kal hua tha guzar yahan us ka
shahr ka pani kal se miTha hai
mujh ko duniya samajh mein kya aati
ek hi shaKHs ko jo socha hai
KHud se banti nahin kabhi 'iqra'
jaane kis baat ka ye jhagDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.