jaana mujhe kidhar tha kis samt chal raha hun
jaanā mujhe kidhar thā kis samt chal rahā huuñ
ik umr maiñ tumhārā nemul-badal rahā huuñ
jalte haiñ log tapte sūraj kī raushnī se
maiñ rū-siyāh kab se zulmat meñ jal rahā huuñ
utrā thā chāñd merī ḳhvāboñ kī anjuman meñ
maiñ us ghaḌī se ab tak āñkheñ masal rahā huuñ
ab tak basī huī hai ḳhushbū mire badan meñ
kahte haiñ is se bāham do-chār pal rahā huuñ
shātir hai vaqt dekho kyā chaal chal gayā hai
jis kī hai aaj duniyā maiñ us kā kal rahā huuñ
mere qadam ba-zāhir aage ko baḌh rahe haiñ
lekin haqīqatan maiñ din raat Dhal rahā huuñ
uTh kar girā huuñ aksar chāhat kī justujū meñ
gir kar maiñ 'ābdī' ab phir se sambhal rahā huuñ
jaana mujhe kidhar tha kis samt chal raha hun
ek umr main tumhaara nemul-badal raha hun
jalte hain log tapte suraj ki raushni se
main ru-siyah kab se zulmat mein jal raha hun
utra tha chand meri KHwabon ki anjuman mein
main us ghaDi se ab tak aankhen masal raha hun
ab tak basi hui hai KHushbu mere badan mein
kahte hain is se baham do-chaar pal raha hun
shatir hai waqt dekho kya chaal chal gaya hai
jis ki hai aaj duniya main us ka kal raha hun
mere qadam ba-zahir aage ko baDh rahe hain
lekin haqiqatan main din raat Dhal raha hun
uTh kar gira hun aksar chahat ki justuju mein
gir kar main 'abdi' ab phir se sambhal raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.