jaanan dil ka shahr nagar afsos ka hai
jānāñ dil kā shahr nagar afsos kā hai
terā merā saarā safar afsos kā hai
kis chāhat se zahr-e-tamannā māñgā thā
aur ab hāthoñ meñ sāġhar afsos kā hai
ik dahlīz pe jā kar dil-ḳhush hotā thā
ab to shahr meñ har ik dar afsos kā hai
ham ne ishq gunāh se bartar jaanā thā
aur dil par pahlā patthar afsos kā hai
qurbat ke us peḌ kī shāḳhoñ par dekho
phuul udāsī kā hai samar afsos kā hai
haar ke dukh se pachhtāvā baḌh kar hai 'farāz'
dukh kā nahīñ afsos magar afsos kā hai
jaanan dil ka shahr nagar afsos ka hai
tera mera sara safar afsos ka hai
kis chahat se zahr-e-tamanna manga tha
aur ab hathon mein saghar afsos ka hai
ek dahliz pe ja kar dil-KHush hota tha
ab to shahr mein har ek dar afsos ka hai
hum ne ishq gunah se bartar jaana tha
aur dil par pahla patthar afsos ka hai
qurbat ke us peD ki shaKHon par dekho
phul udasi ka hai samar afsos ka hai
haar ke dukh se pachhtawa baDh kar hai 'faraaz'
dukh ka nahin afsos magar afsos ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.