jaanan hamare darmiyan kya kya nahin hua
jānāñ hamāre darmiyāñ kyā kyā nahīñ huā
bāteñ nahīñ huiiñ thiiñ yā bosa nahīñ huā
jānāñ ye yak-ba-yak se kahāñ jā rahī ho tum
ab tak hamārā pyaar tamāsha nahīñ huā
jānāñ ye be-ruḳhī na mujhe maar Dālegī
halkā sā iltifāt ziyāda nahīñ huā
jānāñ tumhārī photo mobile meñ hai magar
be-chainiyoñ kā us se izāla nahīñ huā
jānāñ fiance hai tumhārā magar suno
mujh ko tumhārā jaanā gavārā nahīñ huā
jānāñ jo phuul tum ne rakhā thā kitāb meñ
ashkoñ se bhiig kar bhī vo taaza nahīñ huā
jānāñ ḳhudā ke vāste ik baar bol do
'kāshif' ke bin tumhārā guzārā nahīñ huā
jaanan hamare darmiyan kya kya nahin hua
baaten nahin huin thin ya bosa nahin hua
jaanan ye yak-ba-yak se kahan ja rahi ho tum
ab tak hamara pyar tamasha nahin hua
jaanan ye be-ruKHi na mujhe mar Dalegi
halka sa iltifat ziyaada nahin hua
jaanan tumhaari photo mobile mein hai magar
be-chainiyon ka us se izala nahin hua
jaanan fiance hai tumhaara magar suno
mujh ko tumhaara jaana gawara nahin hua
jaanan jo phul tum ne rakha tha kitab mein
ashkon se bhig kar bhi wo taza nahin hua
jaanan KHuda ke waste ek bar bol do
'kashif' ke bin tumhaara guzara nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.