jaane aaya tha kyun makan se main
jaane aayā thā kyuuñ makān se maiñ
kyā ḳharīdūñgā is dukān se maiñ
ho gayā apnī hī anā se halāk
dab gayā apnī hī chaTān se maiñ
ek rañgīn sī baġhāvat par
kaT gayā saare ḳhāndān se maiñ
roz bātoñ ke tiir chhoḌtā huuñ
apne ajdād kī kamān se maiñ
māñgtā huuñ kabhī laraz ke duā
kabhī laḌtā huuñ āsmān se maiñ
ai mire dost thak na jā.ūñ kahīñ
tirī āvāz kī takān se maiñ
Dartā rahtā huuñ ḳhud bhī 'az.har'-ḳhāñ
apne andar ke is paThān se maiñ
jaane aaya tha kyun makan se main
kya KHaridunga is dukan se main
ho gaya apni hi ana se halak
dab gaya apni hi chaTan se main
ek rangin si baghawat par
kaT gaya sare KHandan se main
roz baaton ke tir chhoDta hun
apne ajdad ki kaman se main
mangta hun kabhi laraz ke dua
kabhi laDta hun aasman se main
ai mere dost thak na jaun kahin
teri aawaz ki takan se main
Darta rahta hun KHud bhi 'azhar'-KHan
apne andar ke is paThan se main
- Book : Jhunka na-e-mausam kaa (Pg. 22)
- Author : azhar inaayatii
- Publication : islamic wonders bureau (2006)
- Edition : 2006
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.