jaane apne sae se kyon aaj mujhe Dar lagta hai
jaane apne saa.e se kyoñ aaj mujhe Dar lagtā hai
jalā huā is shahar kā har ghar apnā hī ghar lagtā hai
kuchh itnā chehra TuuTā hai ghaav kuchh itne khaa.e haiñ
phuul bhī us ke hāthoñ kā ab mujh ko patthar lagtā hai
jis se is nanhe bachche kī maañ bahnoñ kā qatl huā
mausam-e-gul kā har ik manzar ḳhūnī manzar lagtā hai
vaise to vo merā bhī mahbūb dulārā hai lekin
us kī har ik baat se mere dil meñ ḳhanjar lagtā hai
Duubī ubhrī ubhrī Duubī har lamha har pal har roz
'āshā' us kī āñkhoñ meñ ek gahrā samundar lagtā hai
jaane apne sae se kyon aaj mujhe Dar lagta hai
jala hua is shahar ka har ghar apna hi ghar lagta hai
kuchh itna chehra TuTa hai ghaw kuchh itne khae hain
phul bhi us ke hathon ka ab mujh ko patthar lagta hai
jis se is nanhe bachche ki man bahnon ka qatl hua
mausam-e-gul ka har ek manzar KHuni manzar lagta hai
waise to wo mera bhi mahbub dulara hai lekin
us ki har ek baat se mere dil mein KHanjar lagta hai
Dubi ubhri ubhri Dubi har lamha har pal har roz
'asha' us ki aankhon mein ek gahra samundar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.