jaane dil ka aankh se kaisa rishta hai
jaane dil kā aañkh se kaisā rishta hai
choT lage to aañkh se aañsū bahtā hai
pal pal na.e Thikāne DhūñDhtā rahtā hai
merā dil bhī na.e parinde jaisā hai
mere dil ke ujḌe ujḌe sahrā meñ
ek diyā sā jaltā bujhtā rahtā hai
dekhnā kaale bādaloñ ne na Dhāñkā ho
apnī marzī se kab sūraj chhuptā hai
kaun likhegā Dhalte sūraj kā qissa
jo likhtā hai chāñd kī bāteñ likhtā hai
pal pal rañg badaltī duniyā meñ ai dost
apne ḳhuun se to paanī bhī mahñgā hai
tū bhī hai lā-ilm 'ḳhalīl' ke siine meñ
terī yādoñ kā ik taptā sahrā hai
jaane dil ka aankh se kaisa rishta hai
choT lage to aankh se aansu bahta hai
pal pal nae Thikane DhunDhta rahta hai
mera dil bhi nae parinde jaisa hai
mere dil ke ujDe ujDe sahra mein
ek diya sa jalta bujhta rahta hai
dekhna kale baadalon ne na Dhanka ho
apni marzi se kab suraj chhupta hai
kaun likhega Dhalte suraj ka qissa
jo likhta hai chand ki baaten likhta hai
pal pal rang badalti duniya mein ai dost
apne KHun se to pani bhi mahnga hai
tu bhi hai la-ilm 'KHalil' ke sine mein
teri yaadon ka ek tapta sahra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.