jaane in aankhon mein ye kaisa nasha rakkha hai
jaane in āñkhoñ meñ ye kaisā nasha rakkhā hai
jis ne dekhā use badmast banā rakkhā hai
tum pilāoge to pī leñge hameñ kyā is se
zahr hai jaam meñ yā āb-e-baqā rakkhā hai
ham-nashīnī se tumhārī hai bahār-e-hastī
in shab-o-roz meñ tum hī kaho kyā rakkhā hai
is tarah aane se behtar thā na aate sāhab
chand lamhoñ kī mulāqāt meñ kyā rakkhā hai
mausamoñ kī tarah badlā kiye vo par ham ne
ḳhud ko har haal meñ pāband-e-vafā rakkhā hai
aap kā bazm-e-tasavvur meñ chale aa jaanā
ham ko māhaul se begāna banā rakkhā hai
she'r apne nahīñ mamnūn kisī ke 'najmī'
ham ne bā-fazl-e-ḳhudā zehn-e-rasā rakkhā hai
jaane in aankhon mein ye kaisa nasha rakkha hai
jis ne dekha use badmast bana rakkha hai
tum pilaoge to pi lenge hamein kya is se
zahr hai jam mein ya aab-e-baqa rakkha hai
ham-nashini se tumhaari hai bahaar-e-hasti
in shab-o-roz mein tum hi kaho kya rakkha hai
is tarah aane se behtar tha na aate sahab
chand lamhon ki mulaqat mein kya rakkha hai
mausamon ki tarah badla kiye wo par hum ne
KHud ko har haal mein paband-e-wafa rakkha hai
aap ka bazm-e-tasawwur mein chale aa jaana
hum ko mahaul se begana bana rakkha hai
she'r apne nahin mamnun kisi ke 'najmi'
hum ne ba-fazl-e-KHuda zehn-e-rasa rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.