jaane is mein gham ya KHushi hai pahli bar mohabbat ki hai
jaane is mein gham ya KHushi hai pahli bar mohabbat ki hai
Jatinder Vir Yakhmi jayaveer
MORE BYJatinder Vir Yakhmi jayaveer
jaane is meñ ġham yā ḳhushī hai pahlī baar mohabbat kī hai
apne liye to baat na.ī hai pahlī baar mohabbat kī hai
kise batā.eñ kis se pūchheñ kyuuñ ye taḌap har dam rahtī hai
kaise kaheñ ye ḳhush-ḳhabarī hai pahlī baar mohabbat kī hai
be-sudh sā rahtā huuñ maiñ kyuuñ bhuul gayā apnoñ ġhairoñ ko
ik bas un kī yaad bachī hai pahlī baar mohabbat kī hai
milne par bhī pābandī hai log kaheñ ye ḳhud-ġharzī hai
is meñ hamārī kyā ġhalatī hai pahlī baar mohabbat kī hai
sun rakkhā hai be-shak ham ne log nahīñ deñge ab jiine
duniyā kar le jo kartī hai pahlī baar mohabbat kī hai
jaane is mein gham ya KHushi hai pahli bar mohabbat ki hai
apne liye to baat nai hai pahli bar mohabbat ki hai
kise bataen kis se puchhen kyun ye taDap har dam rahti hai
kaise kahen ye KHush-KHabari hai pahli bar mohabbat ki hai
be-sudh sa rahta hun main kyun bhul gaya apnon ghairon ko
ek bas un ki yaad bachi hai pahli bar mohabbat ki hai
milne par bhi pabandi hai log kahen ye KHud-gharzi hai
is mein hamari kya ghalati hai pahli bar mohabbat ki hai
sun rakkha hai be-shak hum ne log nahin denge ab jine
duniya kar le jo karti hai pahli bar mohabbat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.