jaane kahan the aur chale the kahan se hum
jaane kahāñ the aur chale the kahāñ se ham
bedār ho ga.e kisī ḳhvāb-e-girāñ se ham
ai nau-bahār-e-nāz tirī nik.hatoñ kī ḳhair
dāman jhaTak ke nikle tire gulsitāñ se ham
pindār-e-āshiqī kī amānat hai āh-e-sard
ye tiir aaj chhoḌ rahe haiñ kamāñ se ham
aao ġhubār-e-rāh meñ DhūñDeñ shamīm-e-nāz
aao ḳhabar bahār kī pūchheñ ḳhizāñ se ham
āḳhir duā kareñ bhī to kis mudda.ā ke saath
kaise zamīñ kī baat kaheñ āsmāñ se ham
jaane kahan the aur chale the kahan se hum
bedar ho gae kisi KHwab-e-giran se hum
ai nau-bahaar-e-naz teri nikhaton ki KHair
daman jhaTak ke nikle tere gulsitan se hum
pindar-e-ashiqi ki amanat hai aah-e-sard
ye tir aaj chhoD rahe hain kaman se hum
aao ghubar-e-rah mein DhunDen shamim-e-naz
aao KHabar bahaar ki puchhen KHizan se hum
aaKHir dua karen bhi to kis muddaa ke sath
kaise zamin ki baat kahen aasman se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.