jaane kaisa hai zindagi ka safar
jaane kaisā hai zindagī kā safar
āgahī kā yā be-ḳhudī kā safar
ḳhaak se ban ke ḳhaak ho jaanā
dā.era meñ hai har kisī kā safar
itnā mushkil hai jitnā lagtā thā
ham ko āsān āshiqī kā safar
ye patiñge se pūchh kaisā thā
raushnī se vo sho.alagī kā safar
gar kisī se tumheñ mohabbat hai
sañg usī ke ho bandagī kā safar
ajnabī jo the ho ga.e jigrī
kyā maze kā hai dostī kā safar
saath ġhāfil-navā azal sab hai
ḳhuub hai 'ahad' shā.irī kā safar
jaane kaisa hai zindagi ka safar
aagahi ka ya be-KHudi ka safar
KHak se ban ke KHak ho jaana
daera mein hai har kisi ka safar
itna mushkil hai jitna lagta tha
hum ko aasan aashiqi ka safar
ye patinge se puchh kaisa tha
raushni se wo shoalagi ka safar
gar kisi se tumhein mohabbat hai
sang usi ke ho bandagi ka safar
ajnabi jo the ho gae jigri
kya maze ka hai dosti ka safar
sath ghafil-nawa azal sab hai
KHub hai 'ahad' shairi ka safar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.