jaane kaisi baadalon ke darmiyan sazish hui
jaane kaisī bādaloñ ke darmiyāñ sāzish huī
merā ghar miTTī kā thā mere hī ghar bārish huī
dahmakī aurāq meñ kal shab jo us kā ḳhat milā
nañge paañv ghaas par chalne kī phir ḳhvāhish huī
jin kī buniyādeñ hī apne paañv par girne ko thiiñ
un gharoñ kī reshmī pardoñ se ārā.ish huī
mere ḳhuuñ kā zā.iqa jab dostoñ ne chakh liyā
jism ke phir ek ek qatre kī farmā.ish huī
jaane kaisi baadalon ke darmiyan sazish hui
mera ghar miTTi ka tha mere hi ghar barish hui
dahmaki auraq mein kal shab jo us ka KHat mila
nange panw ghas par chalne ki phir KHwahish hui
jin ki buniyaaden hi apne panw par girne ko thin
un gharon ki reshmi pardon se aaraish hui
mere KHun ka zaiqa jab doston ne chakh liya
jism ke phir ek ek qatre ki farmaish hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.