jaane kidhar ke log the jaane kidhar gae
jaane kidhar ke log the jaane kidhar ga.e
va.ade kiye the jitne sabhī se mukar ga.e
manzil hamāre pyaar kī kuchh duur to na thī
ḳhātir usī kī ishq meñ us ke nagar ga.e
āsāñ nahīñ hai ishq kā rasta ye jaan lo
mushkil milegī raah meñ jo tum udhar ga.e
chāhat kī aag dil meñ thī jaltī rahī bahut
chāroñ taraf hī aag ke jānam sharar ga.e
muddat likhī thī jiine kī allah ne is jahāñ
duuje jahāñ ke rāste āḳhir bashar ga.e
duniyā paḌī hai paise ke pīchhe bahut hī yaar
dekhā jo logoñ ne ye to saare udhar ga.e
jaane kidhar ke log the jaane kidhar gae
wade kiye the jitne sabhi se mukar gae
manzil hamare pyar ki kuchh dur to na thi
KHatir usi ki ishq mein us ke nagar gae
aasan nahin hai ishq ka rasta ye jaan lo
mushkil milegi rah mein jo tum udhar gae
chahat ki aag dil mein thi jalti rahi bahut
chaaron taraf hi aag ke jaanam sharar gae
muddat likhi thi jine ki allah ne is jahan
duje jahan ke raste aaKHir bashar gae
duniya paDi hai paise ke pichhe bahut hi yar
dekha jo logon ne ye to sare udhar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.