jaane kis kis ne hamein takid ki
jaane kis kis ne hameñ tākīd kī
kyuuñ nahīñ dekhī chamak ḳhurshīd kī
jabki ehsās-e-raqābat ho gayā
kis se tab ummīd ho tā.īd kī
sab chamak se hī agar mansūb thā
sab se behtar thī chamak nāhīd kī
ḳhūbsūrat zindagī nairañg hai
ham ne kab us se koī ummīd kī
jab taġhāful kā irāda kar liyā
kaun kartā fikr ḳhair o diid kī
jaane kis kis ne hamein takid ki
kyun nahin dekhi chamak KHurshid ki
jabki ehsas-e-raqabat ho gaya
kis se tab ummid ho taid ki
sab chamak se hi agar mansub tha
sab se behtar thi chamak nahid ki
KHubsurat zindagi nairang hai
hum ne kab us se koi ummid ki
jab taghaful ka irada kar liya
kaun karta fikr KHair o did ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.