jaane kis liye ruThi aise zindagi humse
jaane kis liye rūThī aise zindagī ham se
naam tak nahīñ pūchhā baat bhī na kī ham se
dekho vaqt kī aahaT tez hotī jaatī hai
jo savāl baaqī haiñ pūchh lo abhī ham se
koī ġham idhar aa.e us ko ghūrtī kyuuñ hai
aur chāhtī kyā hai ab tirī ḳhushī ham se
ek bhūlī-bisrī yaad aaj yaad kyuuñ aa.ī
kyuuñ kisī ke milne kī aarzū milī ham se
us kī ek uñglī par ghūmtī rahī duniyā
chāñd kī tarah har shai duur ho ga.ī ham se
jaane kis liye ruThi aise zindagi hum se
nam tak nahin puchha baat bhi na ki hum se
dekho waqt ki aahaT tez hoti jati hai
jo sawal baqi hain puchh lo abhi hum se
koi gham idhar aae us ko ghurti kyun hai
aur chahti kya hai ab teri KHushi hum se
ek bhuli-bisri yaad aaj yaad kyun aai
kyun kisi ke milne ki aarzu mili hum se
us ki ek ungli par ghumti rahi duniya
chand ki tarah har shai dur ho gai hum se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.