jaane kis moD pe de hijr ki saughat mujhe
jaane kis moḌ pe de hijr kī sauġhāt mujhe
par gavārā bhī nahīñ tark-e-mulāqāt mujhe
us kā kyā jaatā jo muñh pher ke hañs bhī detā
ḳhush-gumānī hī sahī rāhat-e-jazbāt mujhe
husn bhī husn hai malbūs-e-hayā hai jab tak
pur-kashish aur nazar aa.e hijābāt mujhe
farq miTTī kā hai darveshī o sultānī meñ
varna ye lagte haiñ parvarda-e-hālāt mujhe
abr barsā bhī to bosīda makānoñ se pare
is baras aa.ī to kyā de ga.ī barsāt mujhe
jaane kis moD pe de hijr ki saughat mujhe
par gawara bhi nahin tark-e-mulaqat mujhe
us ka kya jata jo munh pher ke hans bhi deta
KHush-gumani hi sahi rahat-e-jazbaat mujhe
husn bhi husn hai malbus-e-haya hai jab tak
pur-kashish aur nazar aae hijabaat mujhe
farq miTTi ka hai darweshi o sultani mein
warna ye lagte hain parwarda-e-haalat mujhe
abr barsa bhi to bosida makanon se pare
is baras aai to kya de gai barsat mujhe
- Book : Bahar-e-ejaad (Pg. 90)
- Author : Syed Amin Ashraf
- Publication : Urdu Monthly Shabkhoon Rani Mandi Allahabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.