jaane kis samt ko bhaTka saya
jaane kis samt ko bhaTkā saaya
dhuup kahne lagī sāya! sāya!
koī sarnāma hamārā likkhe
raḳhsh par ham to piyāda saaya
sar-e-be-maġhz ke auhām to dekh
jism apnā hai parāyā saaya
ye adāvat hai hiqārat to nahīñ
un kī dastār se rūThā saaya
ba.az auqāt to aisā bhī huā
chhin gayā ham se hamārā saaya
ab to e.ajāz hai jiinā 'ābid'
saa.e kā ho bhī bhalā kyā saaya
jaane kis samt ko bhaTka saya
dhup kahne lagi saya! saya!
koi sarnama hamara likkhe
raKHsh par hum to piyaada saya
sar-e-be-maghz ke auham to dekh
jism apna hai paraya saya
ye adawat hai hiqarat to nahin
un ki dastar se ruTha saya
baz auqat to aisa bhi hua
chhin gaya hum se hamara saya
ab to eajaz hai jina 'abid'
sae ka ho bhi bhala kya saya
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 408)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.