jaane kya aas lagai hai safar se maine
jaane kyā aas lagā.ī hai safar se maiñ ne
ek tinkā bhī uThāyā nahīñ ghar se maiñ ne
varna chup kis se rahā jaatā hai itnā arsa
tujh ko dekhā hī nahīñ aisī nazar se maiñ ne
utar aayā hai harīfoñ key taraf-dārī par
vo jise sāmne karnā thā udhar se maiñ ne
yuuñ na kar vasl ke lamhoñ ko havas se ta.abīr
chand patte hī to toḌe haiñ shajar se maiñ ne
dekhnī ho kabhī bechainī to un se milnā
jin ko rokā hai tirī ḳhair-ḳhabar se maiñ ne
jaane kya aas lagai hai safar se main ne
ek tinka bhi uThaya nahin ghar se main ne
warna chup kis se raha jata hai itna arsa
tujh ko dekha hi nahin aisi nazar se main ne
utar aaya hai harifon key taraf-dari par
wo jise samne karna tha udhar se main ne
yun na kar wasl ke lamhon ko hawas se tabir
chand patte hi to toDe hain shajar se main ne
dekhni ho kabhi bechaini to un se milna
jin ko roka hai teri KHair-KHabar se main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.