jaane kya baat hai kyon shor macha rakha hai
jaane kya baat hai kyon shor macha rakha hai
Khwaja Aminuddin Ameen
MORE BYKhwaja Aminuddin Ameen
jaane kyā baat hai kyoñ shor machā rakhā hai
bāt-be-bāt kā afsāna banā rakhā hai
kuchh na kuchh hai to sahī aaj tire kūche meñ
jo ye hangāme pe hangāma machā rakhā hai
jin ko piine kā salīqa hī nahīñ aatā hai
kyoñ unheñ aap ne mad.hosh banā rakhā hai
varna tūfāñ nayā aane kā sabab ho jaate
ham ne jazbāt ko siine meñ dabā rakhā hai
kuchh kahoge to koī hal bhī nikal aa.egā
raaz vo kyā hai ki jo dil meñ chhupā rakhā hai
koī ilzām burā.ī kā lagā de na amiin
apne kirdār ke dāman ko bachā rakhā hai
jaane kya baat hai kyon shor macha rakha hai
baat-be-baat ka afsana bana rakha hai
kuchh na kuchh hai to sahi aaj tere kuche mein
jo ye hangame pe hangama macha rakha hai
jin ko pine ka saliqa hi nahin aata hai
kyon unhen aap ne madhosh bana rakha hai
warna tufan naya aane ka sabab ho jate
hum ne jazbaat ko sine mein daba rakha hai
kuchh kahoge to koi hal bhi nikal aaega
raaz wo kya hai ki jo dil mein chhupa rakha hai
koi ilzam burai ka laga de na amin
apne kirdar ke daman ko bacha rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.