jaane kya baat hai pata hi nahin
jaane kyā baat hai patā hī nahīñ
ḳhat mujhe us ne phir likhā hī nahīñ
pyaar ke rāste meñ vo mujh se
aisā bichhḌā ki phir milā hī nahīñ
maiñ to us shahr se chalā aayā
sach vahāñ koī boltā hī nahīñ
toḌ dete samāj kī dīvār
tum ne aisā magar kiyā hī nahīñ
aap kī baat maan le shāyad
dil mirī baat māntā hī nahīñ
kyoñ na kar leñ ġhamoñ se samjhauta
ab koī aur rāsta hī nahīñ
ik ibādat bhī shā.irī hai 'nasīm'
sirf sāhab ye mashġhala hī nahīñ
jaane kya baat hai pata hi nahin
KHat mujhe us ne phir likha hi nahin
pyar ke raste mein wo mujh se
aisa bichhDa ki phir mila hi nahin
main to us shahr se chala aaya
sach wahan koi bolta hi nahin
toD dete samaj ki diwar
tum ne aisa magar kiya hi nahin
aap ki baat man le shayad
dil meri baat manta hi nahin
kyon na kar len ghamon se samjhauta
ab koi aur rasta hi nahin
ek ibaadat bhi shairi hai 'nasim'
sirf sahab ye mashghala hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.