jaane kya dekha tha maine KHwab mein
jaane kyā dekhā thā maiñ ne ḳhvāb meñ
phañs gayā phir jism ke girdāb meñ
terā kyā tū to baras ke khul gayā
merā sab kuchh bah gayā sailāb meñ
merī āñkhoñ kā bhī hissa hai bahut
tere is chehre kī āb-o-tāb meñ
tujh meñ aur mujh meñ ta.alluq hai vahī
hai jo rishta saaz aur mizrāb meñ
merā va.ada hai ki saarī zindagī
tujh se maiñ miltā rahūñgā ḳhvāb meñ
jaane kya dekha tha main ne KHwab mein
phans gaya phir jism ke girdab mein
tera kya tu to baras ke khul gaya
mera sab kuchh bah gaya sailab mein
meri aankhon ka bhi hissa hai bahut
tere is chehre ki aab-o-tab mein
tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi
hai jo rishta saz aur mizrab mein
mera wada hai ki sari zindagi
tujh se main milta rahunga KHwab mein
- Book : sooraj ko nikaltaa dekhuun (Pg. 587)
- Author : Shaharyaar
- Publication : Farooq Argali (2013)
- Edition : 1st
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.