Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jaane kya dil pe dam-ba-dam guzri

Masood Qureshi

jaane kya dil pe dam-ba-dam guzri

Masood Qureshi

MORE BYMasood Qureshi

    Interesting Fact

    1952

    jaane kyā dil pe dam-ba-dam guzrī

    ik qayāmat qadam qadam guzrī

    ġham ko jab juzv-e-zindagī jaanā

    zindagī be-niyāz-e-ġham guzrī

    aarzū kūcha-e-mohabbat se

    ḳhanda dar-dil ba-chashm-e-nam guzrī

    dostī ban ga.ī ravādārī

    be-ruḳhī dil pe baar kam guzrī

    umr-bhar azaab ban baiThī

    vo jo do-chār din baham guzrī

    jaane kya dil pe dam-ba-dam guzri

    ek qayamat qadam qadam guzri

    gham ko jab juzw-e-zindagi jaana

    zindagi be-niyaz-e-gham guzri

    aarzu kucha-e-mohabbat se

    KHanda dar-dil ba-chashm-e-nam guzri

    dosti ban gai rawadari

    be-ruKHi dil pe bar kam guzri

    umr-bhar ka azab ban baiThi

    wo jo do-chaar din baham guzri

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now