jaane kya kuchh hai aaj hone ko
jaane kyā kuchh hai aaj hone ko
jī mirā chāhtā hai rone ko
ek umr aur haath kyā aayā
zindagī kyā milī thī khone ko
ābloñ se paTe paḌe haiñ ham
koī nishtar bhī de chubhone ko
dīda-e-tar bhī aaj kho aa.e
us ke aage ga.e the rone ko
ret muTThī meñ bhar ke baiThe haiñ
haath meñ kuchh rahe to khone ko
apnī hastī kā haal kyā kahiye
ham hue aah kuchh na hone ko
kitne saada haiñ ham ki baiThe haiñ
dāġh-e-dil āñsuoñ se dhone ko
jaane kya kuchh hai aaj hone ko
ji mera chahta hai rone ko
ek umr aur hath kya aaya
zindagi kya mili thi khone ko
aablon se paTe paDe hain hum
koi nishtar bhi de chubhone ko
dida-e-tar bhi aaj kho aae
us ke aage gae the rone ko
ret muTThi mein bhar ke baiThe hain
hath mein kuchh rahe to khone ko
apni hasti ka haal kya kahiye
hum hue aah kuchh na hone ko
kitne sada hain hum ki baiThe hain
dagh-e-dil aansuon se dhone ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.