jaane kya kya main haar baiTha hun
jaane kyā kyā maiñ haar baiThā huuñ
kho ke apnā vaqār baiThā huuñ
milne ā.eñge aaj vo mujh se
is liye be-qarār baiThā huuñ
biphrī maujeñ haiñ phir bhī maiñ yaaro
kar ke dariyā ko paar baiThā huuñ
note-bandī ne aisā maarā hai
saarī daulat maiñ haar baiThā huuñ
aaj tak achchhe din nahīñ aa.e
phir bhī dil tujh pe vaar baiThā huuñ
tū hasīñ hai to kyā huā jānāñ
maiñ bhī sūrat nikhār baiThā huuñ
tujh se milne kī aarzū hai tabhī
raah meñ mere yaar baiThā huuñ
taaki maa.il ho tū bhī merī taraf
le ke maiñ dil meñ pyaar baiThā huuñ
maiñ bhī terī hasīñ nigāhoñ kā
ho ke hamdam shikār baiThā huuñ
maiñ huuñ 'sājid' sunāoge kyā kyā
sun ke bāteñ hazār baiThā huuñ
jaane kya kya main haar baiTha hun
kho ke apna waqar baiTha hun
milne aaenge aaj wo mujh se
is liye be-qarar baiTha hun
biphri maujen hain phir bhi main yaro
kar ke dariya ko par baiTha hun
note-bandi ne aisa mara hai
sari daulat main haar baiTha hun
aaj tak achchhe din nahin aae
phir bhi dil tujh pe war baiTha hun
tu hasin hai to kya hua jaanan
main bhi surat nikhaar baiTha hun
tujh se milne ki aarzu hai tabhi
rah mein mere yar baiTha hun
taki mail ho tu bhi meri taraf
le ke main dil mein pyar baiTha hun
main bhi teri hasin nigahon ka
ho ke hamdam shikar baiTha hun
main hun 'sajid' sunaoge kya kya
sun ke baaten hazar baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.