jaane kya phir ji mein aai chal paDe
jaane kyā phir jī meñ aa.ī chal paḌe
ham ne ik cigarette jalā.ī chal paḌe
ġhaib se aa.ī thī ham ko ik sadā
chhoḌ kar saarī ḳhudā.ī chal paḌe
is se pahle rokte dīvār-o-dar
aag ḳhud ghar ko lagā.ī chal paḌe
aaj jaane kā kahīñ dil to na thā
bas kisī kī yaad aa.ī chal paḌe
is qadar thī rahguzar se nisbateñ
jab safar kī baat aa.ī chal paḌe
shab ga.e āvāz ik aa.ī hameñ
ham ne bhī himmat juTā.ī chal paḌe
jānte the āḳhirat kā hai safar
aa ga.ī shām-e-judā.ī chal paḌe
jaane kya phir ji mein aai chal paDe
hum ne ek cigarette jalai chal paDe
ghaib se aai thi hum ko ek sada
chhoD kar sari KHudai chal paDe
is se pahle rokte diwar-o-dar
aag KHud ghar ko lagai chal paDe
aaj jaane ka kahin dil to na tha
bas kisi ki yaad aai chal paDe
is qadar thi rahguzar se nisbaten
jab safar ki baat aai chal paDe
shab gae aawaz ek aai hamein
hum ne bhi himmat juTai chal paDe
jaante the aaKHirat ka hai safar
aa gai sham-e-judai chal paDe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.