jaane kya soch ke ghar tak pahuncha
jaane kyā soch ke ghar tak pahuñchā
maiñ ki me.arāj-e-hunar tak pahuñchā
apne kashkol meñ hasrat le kar
ik gadāgar tire dar tak pahuñchā
dard uTThā thā mire pahlū meñ
āḳhir-e-kār jigar tak pahuñchā
ik tabāhī mire dil par utrī
ik tamāshā mire ghar tak pahuñchā
ik duā mere laboñ tak aa.ī
ik asar us kī nazar tak pahuñchā
jitnī aa.heñ mire dil se nikleñ
yā ḳhudā un ko asar tak pahuñchā
shāḳh se TuuTā huā pattā huuñ
tū mujhe mere shajar tak pahuñchā
ham sitāroñ kī ḳhabar lā.eñge
ye ḳhabar ahl-e-ḳhabar tak pahuñchā
jaane kya soch ke ghar tak pahuncha
main ki mearaj-e-hunar tak pahuncha
apne kashkol mein hasrat le kar
ek gadagar tere dar tak pahuncha
dard uTTha tha mere pahlu mein
aaKHir-e-kar jigar tak pahuncha
ek tabahi mere dil par utri
ek tamasha mere ghar tak pahuncha
ek dua mere labon tak aai
ek asar us ki nazar tak pahuncha
jitni aahen mere dil se niklen
ya KHuda un ko asar tak pahuncha
shaKH se TuTa hua patta hun
tu mujhe mere shajar tak pahuncha
hum sitaron ki KHabar laenge
ye KHabar ahl-e-KHabar tak pahuncha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.