jaane kyon kar is qadar sahma hua hai aaina
jaane kyoñ kar is qadar sahmā huā hai ā.īna
aa.ine ko dekh kar bhī Dar rahā hai ā.īna
kyā koī mā'sūm sī sūrat nazar meñ aa ga.ī
kyoñ savāloñ meñ ulajh kar rah gayā hai ā.īna
aap apne aap ko is se chhupā sakte nahīñ
aap kī ik ik adā se āshnā hai ā.īna
ḳhvāhishoñ ke jaal meñ uljhā huā hai har bashar
kaun kitnā be-ġharaz hai jāntā hai ā.īna
āshiyāñ merā jalāyā noch Daale par mire
aap ko is haal meñ bhī dekhtā hai ā.īna
is liye sab ne nigāhoñ se girāyā hai use
jis kī jaisī shakl hai vo boltā hai ā.īna
haath meñ patthar liye kyoñ baḌh rahe ho is taraf
choT khā kar ḳhud bhī patthar ban chukā hai ā.īna
zulm kī talvār ke saa.e meñ bhī huuñ sajda rez
'anvarī' har haal meñ pahchāntā hai ā.īna
jaane kyon kar is qadar sahma hua hai aaina
aaine ko dekh kar bhi Dar raha hai aaina
kya koi ma'sum si surat nazar mein aa gai
kyon sawalon mein ulajh kar rah gaya hai aaina
aap apne aap ko is se chhupa sakte nahin
aap ki ek ek ada se aashna hai aaina
KHwahishon ke jal mein uljha hua hai har bashar
kaun kitna be-gharaz hai jaanta hai aaina
aashiyan mera jalaya noch Dale par mere
aap ko is haal mein bhi dekhta hai aaina
is liye sab ne nigahon se giraya hai use
jis ki jaisi shakl hai wo bolta hai aaina
hath mein patthar liye kyon baDh rahe ho is taraf
choT kha kar KHud bhi patthar ban chuka hai aaina
zulm ki talwar ke sae mein bhi hun sajda rez
'anwari' har haal mein pahchanta hai aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.