jaane kyon mohabbat mein dilkashi nahin milti
jaane kyoñ mohabbat meñ dilkashī nahīñ miltī
dost roz milte haiñ dostī nahīñ miltī
zindagī agar chāho fāqa-mast ban jaao
roġhnī nivāloñ se zindagī nahīñ miltī
maslak-e-faqīrī meñ jo ḳhushī mayassar hai
taḳht-e-bādshāhī par vo ḳhushī nahīñ miltī
adh-khulī kalī shāyad bāġhbāñ ne phir toḌī
kyoñ guloñ ke chehroñ par tāzgī nahīñ miltī
un ko koī samjhā.e apnā jā.eza le leñ
jin ko apne sajdoñ meñ chāshnī nahīñ miltī
dil mirā añdhere meñ aaj bhī bhaTaktā hai
raushnī kī duniyā meñ raushnī nahīñ miltī
zard zard chehre haiñ ḳhauf-e-marg se 'ālam'
ab to koī bhī sūrat chāñd sī nahīñ miltī
jaane kyon mohabbat mein dilkashi nahin milti
dost roz milte hain dosti nahin milti
zindagi agar chaho faqa-mast ban jao
roghni niwalon se zindagi nahin milti
maslak-e-faqiri mein jo KHushi mayassar hai
taKHt-e-baadshahi par wo KHushi nahin milti
adh-khuli kali shayad baghban ne phir toDi
kyon gulon ke chehron par tazgi nahin milti
un ko koi samjhae apna jaeza le len
jin ko apne sajdon mein chashni nahin milti
dil mera andhere mein aaj bhi bhaTakta hai
raushni ki duniya mein raushni nahin milti
zard zard chehre hain KHauf-e-marg se 'alam'
ab to koi bhi surat chand si nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.