jaane kyun ruh tan-badan mein nahin
jaane kyuuñ ruuh tan-badan meñ nahīñ
aaj maiñ apne pairahan meñ nahīñ
chār-din bhī vo chāñdnī na rahī
aaj saa.e bhī anjuman meñ nahīñ
ab sabhī ajnabī se lagte haiñ
aisā lagtā hai maiñ vatan meñ nahīñ
ab na āh-e-jigar meñ soz rahā
aur vo dard bhī ghuTan meñ nahīñ
gul-e-shahkār chhoḌ de uljhan
ab mirā zikr bhī chaman meñ nahīñ
ab pahan lo bashīr ḳhāmoshī
ab vo jaadū tire suḳhan meñ nahīñ
jaane kyun ruh tan-badan mein nahin
aaj main apne pairahan mein nahin
chaar-din bhi wo chandni na rahi
aaj sae bhi anjuman mein nahin
ab sabhi ajnabi se lagte hain
aisa lagta hai main watan mein nahin
ab na aah-e-jigar mein soz raha
aur wo dard bhi ghuTan mein nahin
gul-e-shahkar chhoD de uljhan
ab mera zikr bhi chaman mein nahin
ab pahan lo bashir KHamoshi
ab wo jadu tere suKHan mein nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.