jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak
jaane lage haiñ ab dam-e-sard āsmāñ talak
ThanDī saḌak banī hai yahāñ se vahāñ talak
jalte haiñ ġham se jān-o-dil-o-sīna-o-jigar
chāroñ taraf hai aag bujhā.ūñ kahāñ talak
bīmār ho gayā huuñ maiñ qaht-e-sharāb se
lillāh le chalo mujhe pīr-e-muġhāñ talak
masjid se duur hai ye dukāñ mai-farosh kī
aatī nahīñ hai kaan meñ bāñg-e-azāñ talak
niklā jo dam to rāhat-o-ārām hai 'asīr'
āvārgī hai jism kī rūh-e-ravāñ talak
jaane lage hain ab dam-e-sard aasman talak
ThanDi saDak bani hai yahan se wahan talak
jalte hain gham se jaan-o-dil-o-sina-o-jigar
chaaron taraf hai aag bujhaun kahan talak
bimar ho gaya hun main qaht-e-sharab se
lillah le chalo mujhe pir-e-mughan talak
masjid se dur hai ye dukan mai-farosh ki
aati nahin hai kan mein bang-e-azan talak
nikla jo dam to rahat-o-aram hai 'asir'
aawargi hai jism ki ruh-e-rawan talak
- Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 80)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Books (2017)
- Edition : 2017
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.