jaane walon se rabta rakhna
jaane vāloñ se rābta rakhnā
dosto rasm-e-fātiha rakhnā
ghar kī ta.amīr chāhe jaisī ho
us meñ rone kī kuchh jagah rakhnā
masjideñ haiñ namāziyoñ ke liye
apne ghar meñ kahīñ ḳhudā rakhnā
jism meñ phailne lagā hai shahr
apnī tanhā.iyāñ bachā rakhnā
milnā-julnā jahāñ zarūrī hai
milne-julne kā hausla rakhnā
umr karne ko hai pachās ko paar
kaun hai kis jagah patā rakhnā
jaane walon se rabta rakhna
dosto rasm-e-fatiha rakhna
ghar ki tamir chahe jaisi ho
us mein rone ki kuchh jagah rakhna
masjiden hain namaziyon ke liye
apne ghar mein kahin KHuda rakhna
jism mein phailne laga hai shahr
apni tanhaiyan bacha rakhna
milna-julna jahan zaruri hai
milne-julne ka hausla rakhna
umr karne ko hai pachas ko par
kaun hai kis jagah pata rakhna
- Book : Sheher Men Gaon (Pg. 406)
- Author : Shahid Mahili
- Publication : Miaar Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.