jaanta hun harif-e-jaan hain sab
jāntā huuñ harīf-e-jāñ haiñ sab
haañ magar aaj vo kahāñ haiñ sab
ek maiñ hī zamīñ kī sūrat huuñ
aur baaqī to āsmāñ haiñ sab
kaun merī zabāñ samajhtā hai
yuuñ to kahne ko ham-zabāñ haiñ sab
maiñ sabhī ko samajhtā haq-go huuñ
aur mujh se hī bad-gumāñ haiñ sab
kaun sī maslahat hai jo mujh par
is qadar aaj mehrbāñ haiñ sab
sun ke saare hī sānehāt mire
log bole ki dāstāñ haiñ sab
jaanta hun harif-e-jaan hain sab
han magar aaj wo kahan hain sab
ek main hi zamin ki surat hun
aur baqi to aasman hain sab
kaun meri zaban samajhta hai
yun to kahne ko ham-zaban hain sab
main sabhi ko samajhta haq-go hun
aur mujh se hi bad-guman hain sab
kaun si maslahat hai jo mujh par
is qadar aaj mehrban hain sab
sun ke sare hi sanehat mere
log bole ki dastan hain sab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.