jaante ho tum ki kya hai zindagi
jānte ho tum ki kyā hai zindagī
mas.ala-dar-mas.ala hai zindagī
sochiye to ik suhānā ḳhvāb hai
dekhiye to ik balā hai zindagī
ḳhaar hoñ jis par ziyāda phuul kam
ek aisā rāsta hai zindagī
zahr hai haq meñ kisī ke aur kahīñ
chashma-e-āb-e-baqā hai zindagī
koī kuchh to koī kuchh samjhā ise
ek anokhā falsafa hai zindagī
kaun jaane ye kahāñ par ḳhatm ho
ik nirālā silsila hai zindagī
maut kyā hai mahfil-e-aish-o-nishāt
mehnat-o-juhd-e-baqā hai zindagī
jaante ho tum ki kya hai zindagi
masala-dar-masala hai zindagi
sochiye to ek suhana KHwab hai
dekhiye to ek bala hai zindagi
KHar hon jis par ziyaada phul kam
ek aisa rasta hai zindagi
zahr hai haq mein kisi ke aur kahin
chashma-e-ab-e-baqa hai zindagi
koi kuchh to koi kuchh samjha ise
ek anokha falsafa hai zindagi
kaun jaane ye kahan par KHatm ho
ek nirala silsila hai zindagi
maut kya hai mahfil-e-aish-o-nishat
mehnat-o-juhd-e-baqa hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.