jari safar hai apna safar ke baghair bhi
jaarī safar hai apnā safar ke baġhair bhī
ham chal rahe haiñ rāhguzar ke baġhair bhī
dīvār ke baġhair bhī dar ke baġhair bhī
jiite haiñ kitne log to ghar ke baġhair bhī
kyā kyā kiyā zalīl mujhe ḳhvāhishāt ne
jhuktā gayā hai sar tire dar ke baġhair bhī
qadroñ kā ye zavāl ye kaj-fahmiyoñ kā daur
sab bā-hunar hue haiñ hunar ke baġhair bhī
kamzor ho gayā hai shajar apnī zaat kā
har shāḳh jhuk ga.ī hai samar ke baġhair bhī
sachchī samā.atoñ kā zamāna guzar gayā
naġhme panap rahe haiñ asar ke baġhair bhī
ye maiñ shab-e-firāq kī kin manziloñ meñ huuñ
sūraj nikal rahā hai sahar ke baġhair bhī
kin vāqi.oñ ne un kā lahu sard kar diyā
Darte haiñ log ab kisī Dar ke baġhair bhī
rahne do us ko apnī anā ke dabāo meñ
sab kaam chal rahe haiñ 'hunar' ke baġhair bhī
jari safar hai apna safar ke baghair bhi
hum chal rahe hain rahguzar ke baghair bhi
diwar ke baghair bhi dar ke baghair bhi
jite hain kitne log to ghar ke baghair bhi
kya kya kiya zalil mujhe KHwahishat ne
jhukta gaya hai sar tere dar ke baghair bhi
qadron ka ye zawal ye kaj-fahmiyon ka daur
sab ba-hunar hue hain hunar ke baghair bhi
kamzor ho gaya hai shajar apni zat ka
har shaKH jhuk gai hai samar ke baghair bhi
sachchi samaaton ka zamana guzar gaya
naghme panap rahe hain asar ke baghair bhi
ye main shab-e-firaq ki kin manzilon mein hun
suraj nikal raha hai sahar ke baghair bhi
kin waqion ne un ka lahu sard kar diya
Darte hain log ab kisi Dar ke baghair bhi
rahne do us ko apni ana ke dabao mein
sab kaam chal rahe hain 'hunar' ke baghair bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.