jata raha qalb se sari KHudai ka ishq
jaatā rahā qalb se saarī ḳhudā.ī kā ishq
qābil-e-tārīf hai tere fidā.ī kā ishq
kaisī musībat hai ye gul ko ḳhamoshī kā shauq
bulbul-e-betāb ko harza-sarā.ī kā ishq
paḌ ga.ī bakne kī lat varna yahāñ tak na thā
vā.iz-e-nā-faham ko harza-sarā.ī kā ishq
kartā huuñ jo baar baar bosa-e-ruḳh kā savāl
husn ke sadqe se hai mujh ko gadā.ī kā ishq
tum ko ḳhudā ne diyā saarī ḳhudā.ī kā husn
mujh ko atā kar diyā saarī ḳhudā.ī kā ishq
āshiq o ma.ashūq kī haa.e nibhe kis tarah
un ko kudūrat kā shauq mujh ko safā.ī kā ishq
pūchh le 'parvīñ' se yā qais se daryāft kar
shahr meñ mash.hūr hai tere fidā.ī kā ishq
jata raha qalb se sari KHudai ka ishq
qabil-e-tarif hai tere fidai ka ishq
kaisi musibat hai ye gul ko KHamoshi ka shauq
bulbul-e-betab ko harza-sarai ka ishq
paD gai bakne ki lat warna yahan tak na tha
waiz-e-na-faham ko harza-sarai ka ishq
karta hun jo bar bar bosa-e-ruKH ka sawal
husn ke sadqe se hai mujh ko gadai ka ishq
tum ko KHuda ne diya sari KHudai ka husn
mujh ko ata kar diya sari KHudai ka ishq
aashiq o mashuq ki hae nibhe kis tarah
un ko kudurat ka shauq mujh ko safai ka ishq
puchh le 'parwin' se ya qais se daryaft kar
shahr mein mashhur hai tere fidai ka ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.