jate ho to le jao yaaden bhi mere dil se
jaate ho to le jaao yādeñ bhī mire dil se
in sham.oñ kā kyā rishta ujḌī huī mahfil se
zindāñ ke añdhere bhī tārīk nahīñ hote
kirneñ sī nikaltī haiñ naġhmāt-e-salāsil se
sūraj se bachā.eñge bādal ke jazīre kyā
tum ne bhī zamīñ māñgī bahte hue sāhil se
sāhil pe maiñ pahuñchūñgā maujoñ kī tarah lekin
tum ko na agar paayā lauT ā.uñgā sāhil se
dil phuul kī bastī hai aur phuul bhī yādoñ ke
ik raat yahīñ rah lo jaate ho kahāñ dil se
jate ho to le jao yaaden bhi mere dil se
in shamon ka kya rishta ujDi hui mahfil se
zindan ke andhere bhi tarik nahin hote
kirnen si nikalti hain naghmat-e-salasil se
suraj se bachaenge baadal ke jazire kya
tum ne bhi zamin mangi bahte hue sahil se
sahil pe main pahunchunga maujon ki tarah lekin
tum ko na agar paya lauT aaunga sahil se
dil phul ki basti hai aur phul bhi yaadon ke
ek raat yahin rah lo jate ho kahan dil se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.