jate jate gale lagata kya
jaate jaate gale lagātā kyā
vo mirā aur dil dukhātā kyā
phir vahī ḳhush-gumāñ tabī.at uf
tajraba kuchh nahīñ sikhātā kyaa?
jaane vaale to jā chuke kab ke
ab yahāñ ḳhaak hai uḌātā kyā
shām-e-hastī kā phaḌphaḌātā charāġh
lau bhalā aur se lagātā kyā
maiñ huuñ majbūr aa.ina to nahīñ
dard ko ḳhushnumā dikhātā kyā
kuchh nayā thā hī kab kahānī meñ
qissa-go lakḌiyāñ jalātā kyā
jal-parī tairne nahīñ aa.ī
jhiil kī samt chāñd jaatā kyā
hai burā ek din to achchhā ek
kyā koī rotā muskurātā kyā
jate jate gale lagata kya
wo mera aur dil dukhata kya
phir wahi KHush-guman tabiat uf
tajraba kuchh nahin sikhata kya?
jaane wale to ja chuke kab ke
ab yahan KHak hai uData kya
sham-e-hasti ka phaDphaData charagh
lau bhala aur se lagata kya
main hun majbur aaina to nahin
dard ko KHushnuma dikhata kya
kuchh naya tha hi kab kahani mein
qissa-go lakDiyan jalata kya
jal-pari tairne nahin aai
jhil ki samt chand jata kya
hai bura ek din to achchha ek
kya koi rota muskuraata kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.