jate jate mujhe KHushi de di
jaate jaate mujhe ḳhushī de dī
us ne āvāz āḳhirī de dī
jab sitāroñ ne pher lī āñkheñ
ek jugnū ne raushnī de dī
us ne inkār kar diyā merā
aur is ġham ne shā.erī de dī
zaḳhm bharne ko de diye aañsū
dard sahne ko bebasī de dī
us ne āñkhoñ se kah diyā sab kuchh
aur paḌhne ko diary de dī
jate jate mujhe KHushi de di
us ne aawaz aaKHiri de di
jab sitaron ne pher li aankhen
ek jugnu ne raushni de di
us ne inkar kar diya mera
aur is gham ne shaeri de di
zaKHm bharne ko de diye aansu
dard sahne ko bebasi de di
us ne aankhon se kah diya sab kuchh
aur paDhne ko diary de di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.