jate jate ye takalluf bhi nibhate jaiye
jate jate ye takalluf bhi nibhate jaiye
Aditya Shrivastava Shafaq
MORE BYAditya Shrivastava Shafaq
jaate jaate ye takalluf bhī nibhāte jā.iye
ishq ke zulm-o-sitam saare bhulāte jā.iye
muflisoñ ko ik zabāñ is ke liye de dī ga.ī
sāhiboñ kī haañ meñ bas haañ haañ milāte jā.iye
rāh-e-barbādī pe jaanā hai to jaa.eñ shauq se
haañ magar apne ye naqsh-e-pā miTāte jā.iye
sarhadeñ ho ḳhatm saarī ḳhatm ho sab bhed-bhāv
ḳhuuñ se mere aisā ik naqsha banāte jā.iye
guftugū karnī hai sanjīda 'shafaq' se aap ko
sher kahiye aur Thahāke bhī lagāte jā.iye
jate jate ye takalluf bhi nibhate jaiye
ishq ke zulm-o-sitam sare bhulate jaiye
muflison ko ek zaban is ke liye de di gai
sahibon ki han mein bas han han milate jaiye
rah-e-barbaadi pe jaana hai to jaen shauq se
han magar apne ye naqsh-e-pa miTate jaiye
sarhaden ho KHatm sari KHatm ho sab bhed-bhaw
KHun se mere aisa ek naqsha banate jaiye
guftugu karni hai sanjida 'shafaq' se aap ko
sher kahiye aur Thahake bhi lagate jaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.