jati kahan ho mast hawao
jaatī kahāñ ho mast havāo
atā-patā to kuchh likhvā do
ātish-e-ġham hai bujhne vaalī
hañs ke us kī aañch baḌhā do
baiTh gayā huuñ duur se aa kar
chāho to dīvār girā do
dīvāne phir dīvāne haiñ
nāseh ko ye baat batā do
kis ne kahā thā ashk bahā kar
'sāhil' tum tūfān uThā do
jati kahan ho mast hawao
ata-pata to kuchh likhwa do
aatish-e-gham hai bujhne wali
hans ke us ki aanch baDha do
baiTh gaya hun dur se aa kar
chaho to diwar gira do
diwane phir diwane hain
naseh ko ye baat bata do
kis ne kaha tha ashk baha kar
'sahil' tum tufan uTha do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.