jaun kahan shuur-e-hunar kis ke pas hai
jā.ūñ kahāñ shu.ūr-e-hunar kis ke paas hai
āñkheñ haiñ sab ke paas nazar kis ke paas hai
hadd-e-nazar meñ manzil-e-maqsūd hai magar
jā.egā kaun raḳht-e-safar kis ke paas hai
zaḳhmoñ meñ ho rahe haiñ izāfe na.e na.e
lekin nahīñ ḳhabar ki tabar kis ke paas hai
ham haiñ ba-qaul un ke agar tīrgī-pasand
phir dosto kalīd-e-sahar kis ke paas hai
maiñ qāmat-e-shajar kā pujārī nahīñ 'asad'
mujh ko ye dekhnā hai samar kis ke paas hai
jaun kahan shuur-e-hunar kis ke pas hai
aankhen hain sab ke pas nazar kis ke pas hai
hadd-e-nazar mein manzil-e-maqsud hai magar
jaega kaun raKHt-e-safar kis ke pas hai
zaKHmon mein ho rahe hain izafe nae nae
lekin nahin KHabar ki tabar kis ke pas hai
hum hain ba-qaul un ke agar tirgi-pasand
phir dosto kalid-e-sahar kis ke pas hai
main qamat-e-shajar ka pujari nahin 'asad'
mujh ko ye dekhna hai samar kis ke pas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.